Sunday, June 11, 2006

 

mai aur meri tanhayi

Main aur meri tanhaai aksar yeh baaten karte hain
Tum hoti to kaisa hota..
Tum yeh kahti, tum woh kahti.
Tum is baat pe hairaan hoti,
Tum us baat pe kitna hansti,
Tum hoti to aisa hota,
Tum hoti to waisa hota..
Main aur meri tanhaayee aksar yeh baaten karte hain

Yeh raat hai ya tumhari zulfen khuli hain
Hai chaandni ya tumhari nazron se meri raaten dhuli huyi hai
Yeh chaand hai ya tumhara kangan
Sitaare hain ya tumhara aanchal
Hawa ka jhnkha hai ya tumhare badan ki khushbu hai
Yeh pattiyon ki hai sarsaraahaT ki chupke se tumne kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahin ho kahin nahin ho..
Magar yeh dil hai ki kah raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho

Majboor yeh haalat idhar bhi hain, udhar bhi
Tanhaayi ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi
Kahne ko bahut kuch hai magar kisse kahen hum
Kab tak yun hi khamosh rahe hum aur sahe hum
Dil kahta hai duniya ki har rashm utha de
Deewar jo hum dono mein hai aaj gira de,
Kyun dil mein sulagte rahe logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai mohabaat hai mohabbat
Ab dil mein yahi baat idhar bhi hai aur udhar bhi

Comments: Post a Comment



<< Home

This page is powered by Blogger. Isn't yours?